gudiya nayi nayi jab ek bache ke paas hoti hai
Ankho mai chamak, dil mai khushiyo ki potli hoti hai,
duniya saari gudiya ke aas paas ho jati hai,
uska khayal, uski sajawat,
uski pyaari si surat se nazare nahi hatt paati hai,
zindagi ka taana bana us gudiya se jud jata hai,
phir kuch samay mai, uske naye hone ka khayal purana ho jata hai,
Naye naye khilone par jab bache ka dhyaan jata hai,
apni puraani gudiya ka woh kaha dhyaan rakh pata hai,
Pyaar mai uske kami nahi, par zindagu ka nazariya badal jata hai,
waqt ki raftaar ke saath woh aage nikal jata hai,
yeh dekh gudiya ka mann bahut khushi pata hai,
par beete dino ka ehsaas mann mai tees jagata hai,
woh din phir lotenge, ye khwab mann mai dastak de jata hai,
isi aas par har raat uska mann shaant ho so jata hai...
By Neeti
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment